Saturday, June 6, 2009

||few lines directly from the heart||

"Tum aao na aao hum to bulayengey,
Tum bhula do hum na bhula payengey,
tumhe haq hai bhula do humari dosti ko,
Humne dosti ki hai, har hal mey nibhayengey"


"Aaj hum hai kal hamari yaad hogi,
jab hum na honge tab hamari baate hongi,
kabhi paltoge zindgi k ye panne to shayad
aapki aankhon se bhi barsaat hogiiiii"

Mil Jaye Koi Naya To Hume Na Bhula Dena
Koi Rula de Tumhe To Hume Yaad Kar Lena,
dost na sahi Hum tumhare...insaan to hai...
Khushi Na Sahi YAAR Gum Hi Baant Lena!!!

"Mehfooz rakho sitaron ko aankhon mein apni
Bahut dur tak raat hi raat hogi
Musafir hain hum bhi musafir ho tum bhi
Kahin na kahin to mulaqat hogi"

"Zarre Zarre Mein Usi Ka Noor Hai
Jhak Khud Mein Woh Na Tujhse Door Hai
Ishq Hai Usse To Sab Se Ishq Kar
Ishq Hai Usse, To Sab Se Ishq Kar
Is Ibadat Ka Yehi Dastoor Hai
Is Mein Us Mein Aur Us Mein Hai Wohi
Is Mein Us Mein Aur Us Mein Hai Wohi
Yaar Mera Har Taraf Bharpur "


||zindagi ki asli udaan abi baki hain,
zindagi k kai imtihaan abi baki hain,
filhaal to naapi hain muthi bhar zameen,
abhi to saara asmaan baaki hain||

debut post

hey guys,plz dont expect too much from this post as its my debut one..........................
first of all i'm very exicted about this post,so plz encourage it!!!
i'm an engineering student and as the rest of you i too have enjoyed my college days till now to fullest.
and i would like to share my memories,experiences and rarely my views on current global phenomenon.
with this,
signing off
jitendra singh baghel.